Youtube Shorts Kia Cheez Hai Or Ap Is say kis tarhan sy earning kr saktay hain

Image
Youtube Shorts Kia Cheez Hai Or Ap Is say kis tarhan sy earning kr saktay hain, aj mai apko is he cheez k baray mai bataon ga tou complete knowledge k liye meray is article ko poura zaroor parhain. Friends abhi kuch he time pehlay ki baat hai youtube nay youtube shorts launch kiye hain, ab youtube nay youtube shorts launch kuon kiye pehlay is baray mai baat kr letay hain, dekhain doston youtube eik bohat bhara platform hai or iskay upper pehlay short videos ka koi chakkar nhi hota tha lekin jab tiktok launch huwa tou wo bohat jaldi bohat ziada popular hota chala geya or log short videos bananay mai ziada interest lenay lag paray or youtube ki jo audience thi wo is cheez sy bohat ziada effect huwi or youtube nay is cheez ko dekhtay huway youtube shorts ko launch kiya pehlay tou ye tammam channels ko nhi diya geya iska pehlay beta program launch kiya geya jiskay ander sirf kuch he youtubers ko shamil kiya geya takay ye check kr sakain kay ye sahi tarhan kaam karay ga ya nhi or inka beta ...

Ads

Agar ap apnay free time mai agar kissi pharmacy mai job karain tou ap kitni earning kr saktay hain - earnwithmymind


 Agar ap apnay free time mai agar kissi pharmacy mai job karain tou ap kitni earning kr saktay hain agar ap is kay baray mai information lena chahtay hain tou ap bilkul he sahi jaga pr hain mai apko aj bataon ga k agar ap student hain or ap apnay free time mai kissi pharmacy mai job karnay ka soch rahay hain tou ap monthly kitini earning karain gay.

Tou friend mai apkay sath apna khud ka experience share karnay ja raha hoon , mai apko sirf wo bata raha hoon jo mainay khud feel kia hai, ho sakta hai k agar ap kissi pharmacy mai job lenay jain tou apki salary ziada ho.

Tou doston mai batata hoon apko mai apni student life mai jab mai school mai tha tou mai b part time job dhoond raha tha jisko mai apnay free time mai kr k kuch earning kr sakon. Tou mainay eik pharmacy k bahir likha huwa parha k pharmacy k liye sale man ki zaroorat hai ab mai us pharmacy mai chala gaya sab sy pehlay unhon nay mera chota sa interview liya , meray sy poucha k kea apnay pehlay kissi pharmacy mai kaam kia hai mainay kaha nhi, phir unhon nay meray sy meri age , study wagera k baray mai poucha, in sab cheezon k answer lenay k baad unhon nay mujeh kaha k ap kuch din yahan pr kaam kr k humay trial do phir hum batain gay k apki kitni salary ho gi mainay kaha thiek hai.

Ab 3 din guzar gaya mainay bohat achi tarhan kaam kia , sari medicines k naam read karnay ke koshish ki or takreeban saaf safai b krni pari, ab mainay jab unko kaha k 3 din guzar gay hain ab tou mujeh meri salary k baray mai bata do tou unhon nay meri salary k baray mai mujeh bataya or unhon nay kaha k apki salary 3000 ho gi 6 ghantay k kaam ki , iska matlab tou ap samajtay hain 100 rupay daily k or 100 rupay 6 hours k bohat he ziada thoray hain, or mai ye baat kr raha hoon 2020 ki or ap tou jaantay hain k is mehngai k dor mai 3000 monthly salary k tor pr bohat he ziada thoray hain, ab mainay jab unko kaha k ye tou bohat zida thori hain tou unhon nay mujeh kaha k apkay pass koi b experience nhi hai or jaisey jaisey ap kaam sekh lo gay apki salary hum ziada kr dain gay. meray bohat kehnay k baad b unhon nay meri salary ziada nhi ki phir mainay kaha chalo thiek hai yeh keh rahay hain k thora kaam seekh lo phir zaida kr dain gay tou mainay wahan pr job karna start kr dia.

Ab mai apko batata hoon k mainay wahan pr kitna kaam kia tou mai apko batat chalon jitni wo mujeh salary dy rahay thay us hisaab sy wo meray sy bohat ziada kaam ly rahay thay start mai tou meray sy bohat thora kaam karwaya lekin kuch din k baad unhon nay meray sy bohat ziada kaam karwana shuru kr diya, ab wahan pr mujeh kafi time ho geya job kartay huwayy lekin meri salary nhi ziada ki gai, tou phir mainay tang aa kr kaam krna chor diya.

Ab mainay wahan sy job chornay k baad eik or pharmacy thi mainay kaha chalo ab tou mainay kaam b seekh lia hai yahan pr meri salary ziada hogi tou mai wahan pr job karnay k liye chala geya ab apko ye baat jaan kr bohat ziada herangi hogi k unhon nay b meri salary 3000 he rakhi mainay kaha chalo thiek hai mai job kr k dekh laita hoon ho sakta hai k yahan pr kaam thora krna paray lekin is pharmacy mai mujeh pehlay wali pharmacy sy b ziada kaam karna parta tha is liye mainay is pharmacy mai b jaana chor diya.

Tou ye thi meri khud ki story mai umeed karta hoon k apko samaj aa gai hogi k pharmacy walay kitna salary daitay hain. ap yakeen nhi karain gay k kuch tou pharmacy aissi b hoti hain jin pr kaam krnay k starting mai pharmacy walay salary he nhi detay or kehtay hain k kaam sekh lo phir salary dain gay. agar apko ye article acha laga tou isko apnay friends or family members k sath zaroor share karain. Thank-You.

Comments

Popular posts from this blog

Aisa Konsa Smartphone Hai Jisko Ap Bohat Thori Price Mai Purchase Kr K Online Earning Kr Saktay Hain

1 Rupee Game Kia Hai Or Is Say Kesay Gift Win Kr Saktay Hain