Ads

Youtube Shorts Kia Cheez Hai Or Ap Is say kis tarhan sy earning kr saktay hain


Youtube Shorts Kia Cheez Hai Or Ap Is say kis tarhan sy earning kr saktay hain, aj mai apko is he cheez k baray mai bataon ga tou complete knowledge k liye meray is article ko poura zaroor parhain.
Friends abhi kuch he time pehlay ki baat hai youtube nay youtube shorts launch kiye hain, ab youtube nay youtube shorts launch kuon kiye pehlay is baray mai baat kr letay hain, dekhain doston youtube eik bohat bhara platform hai or iskay upper pehlay short videos ka koi chakkar nhi hota tha lekin jab tiktok launch huwa tou wo bohat jaldi bohat ziada popular hota chala geya or log short videos bananay mai ziada interest lenay lag paray or youtube ki jo audience thi wo is cheez sy bohat ziada effect huwi or youtube nay is cheez ko dekhtay huway youtube shorts ko launch kiya pehlay tou ye tammam channels ko nhi diya geya iska pehlay beta program launch kiya geya jiskay ander sirf kuch he youtubers ko shamil kiya geya takay ye check kr sakain kay ye sahi tarhan kaam karay ga ya nhi or inka beta programe kamyab raha or inhon nay phir countries k hisaab sy shorts ka feature har youtube channel mai dena shurru kar diya, ab youtube k short feature ko launch karnay sy youtube ki audience phir sy pehlay ki tarhan active ho gai or youtube phir sy pehlay kurei tarhan kaam karnay lag para.
Ab ap loogon ko tou pata he hoga k youtube eik users friendly platform hai is liye ye jab b koi new feature launch karta hai tou iskay new feature sy iskay users ko b koi benefits zaroor hota hai ab mai apko batata hoon kay iskay is featuru e sy users ko kea benefit huwa tou doston youtube pr bohat ziada aisey chotay youtube channels hain jo youtube pr grow krnay ki koshish krtay rehtay hain youtube k is feature sy in chotay channels ko bohat ziada faida huwa, jab inhon nay short video upload ki tou inkay channel nay grow karna start kr diya. youtube k is short feature ko bohat ziada users use karnay lag paray is liye short videos pr bohat ziada views aanay lag paray jiskay nateejay mai chotay channels ki bohat ziada speed sy growth huwi.


Lekin doston youtube nay short videos kay feature mai eik cheez ki kami rakhi hai youtube nay short videos sy milnay walay watch time ko add karna band kr diya hai iska matlab hai k apko jitnay b youtube short k feauture sy views aain gay wo tou add hoon gay he lekin unkay upper jo apko watch time milay ga wo apkay channel mai add nhi kiya jae ga jab ap youtube monetization k liye apply karain gay tou wo count he nhi hoga lekin phir b agar ap youtube subscribers or youtube views ko hasil karna chahtay hain tou iskay liye ye bohat zaroori hai k ap youtube short feature ko zaroor use karain.
Ap aatay hain main cheez ki taraf k youtube shorts sy earning kesay hoti hai tou iskay liye mai apko bataon ga k youtube nay aalag sy short video fund rakha huwa hai jo apko apkay views wagera k hisaab sy milta hai or youtube ki new update k mutabik youtube ab short videos ko b monetize karnay ja raha hai is liye ye eik bohat achi baat hai un youtubers k liye jo grow karna chahtay hain. 


Tou mai umeed karta hoon k apko is blog sy zaroor knowledge milli ho gai agar apko ye article acha laga ho tou isko apnay friends or family members k sath lazmi share karain or article ko read karnay k liye apka shukriya.



EWNS24


 

Comments

Popular posts from this blog

Agar ap apnay free time mai agar kissi pharmacy mai job karain tou ap kitni earning kr saktay hain - earnwithmymind

Aisa Konsa Smartphone Hai Jisko Ap Bohat Thori Price Mai Purchase Kr K Online Earning Kr Saktay Hain

1 Rupee Game Kia Hai Or Is Say Kesay Gift Win Kr Saktay Hain