Youtube Shorts Kia Cheez Hai Or Ap Is say kis tarhan sy earning kr saktay hain
Tou doston 1 rupee game eik aisey game banai gai hai jis mai bohat ziada log 1 rupee dy kr participate kr saktay hain, mai apko samjata hoon k kesay jo bohat bhari bhari company hoti hain jaisey k daraz or easypaisa wagera ye apnay user ko eik game mai participate honay k liye notification bejhtay hain us notification mai likha hota hai eik agar ap iphone jeetna chahtay hain tou abhi 1 rupee pay karain or game mai participate karain ab har baar gift eik jaisa nhi hota , kabhi kabhi watch , samsung ya or kafi cheezain bhi prize k tor pr rakh detay hain lekin ziada tar iphone he rakhtay hain.
Ap doston hota kia hai k jab logon tak notification pohanchta hai tou wo jab 1 rupee pay kr detay hain tou ye jo companies hoti hain ye ziada saray papers pr logon k names likh kr eik box mai daal detay hain or jis ka name nikal aata usko eik notification pohanch jata hai k apka ye prize nikal aaya hai is ko claim kr lain. ab sari companies box wali method ko nhi use kartin, har company ki winner ko announce karnay ki method aalag hoti hai ye tou mainay bs apko eik example di hai.
Ab kafi log ye soch rahay hoon gay k agar humnay 1 rupee game mai participate karna ho tou kesay karain gay tou doston agar ap Pakistan mai hain tou best platforms jin pr ap ye games khel saktay ho wo easypaisa or daraz.PK hain. In pr apko account tou ho ga he agar apka account nhi hai tou ap playstore sy ap download kr k in app pr register kr saktay hain.
Ab doston yahan pr eik bohat bhara sawal aata hai k in companies ko kea faida hota hai one rupee game ko publish karnay ka bohat ziada logon k mind mai ye question aata hai mai apko batata hoon k in companies ko kea faida hota hai tou doston example k tor pr , agar kissi company nay game post ki hai kisi prize ke or us prize ki jo qeemat hai wo 4000 hai or agar usko 10000 log purchase kr letay hain tou mai wo 4000 ki cheez kissi eik winner ko dy doon ga or baki jo 6000 reh jai gay wo company ka he profit ho ga na wo kissi or ka tou nhi ho ga, Ab kuch companies aissi b hain jo 1 rupee un logon ko return kr deti hain jin ka koi prize nhi nikalta lekin aissi companies bohat he ziada thori hati hain.
Ap Pakistan mai hain tou ap asani k sath in app pr register kr kay 1 rupee game khel saktay hain lekin agar ap kisssi or country mai hain tou apko search krna paray gay k konsi app ya sites hain jin pr ap 1 rupee game ko khel saktay hain.
Mai Umeed Karta Hoon K Apko 1 Rupee Game K Baray Mai Complete Smaj Aa Gai Hogi, Agar apko ye article acha laga hai tou isko apnay friends or family kay sath lazmi share karain . thank you very much for reading this.
Comments
Post a Comment