Youtube Shorts Kia Cheez Hai Or Ap Is say kis tarhan sy earning kr saktay hain
BENEFITS OF VIDEO EDITING SKILL :
Sab sy pehlay baat kartay hain k video editing ko seekhnay k kea faiday hain, tou mai apko batata chalon k ye eik skill hai jisko agar ap achi tarhan sy seekh lain tou is ko use kr k ap online earning kr saktay hain, g haan ap is skill sy online earning kr saktay hain. ab kafi log ye soch rahay hoon gay k agar hum issay earning kr saktay hain tou kesay mai apko batata hoon agar ap nay ye skill b seekh li tou ap freelancer ban saktay hain or apni is skill ko online sale kr saktay hain bohat ziada aisey platforms hain jin pr ap inko sale kr saltay hain, un mai say kuch k naam mai apko batata hoon freelancer, fiverr, peapleperhour, upwork ye wo platforms hain jin pr ap agar as a freelancer kaam karain tou bohat achi earning kr saktay or aisa b ho sakta hai k apko kissi baray video project ka kaam mil jae zaroori nhi k agar apnay video editing seekh li hai tou ap sirf fiverr wagera sy he earning kr saktay hain ap apnay friends wagera sy paisey ly saktay hain unki videos edit krnay k liye apna khud ka eik whatsapp group bana saktay hain, ap bs skill seekh lain bad mai mai us skill ko kahin pr use kr saktay hain.
FROM WHERE WE CAN LEARN VIDEO EDITING :
Ab hum baat kartay hain k ap kahan sy video editing seekh saktay hain is sawal ka answer itna ziada mushkil nhi hai agar ap video editing seekhna chahtay hain tou bohat he ziada jo simple method hai wo ye hai k ap youtube sy seekh saktay hain aj kal zamana advance ho chuka hai agar ap koi course seekhna chahtay hain tou ap online free mai youtube sy seekh saktay hain lekin agar apko youtube sy samaj nhi aati tou ap paid course sy b seekh saktay hain or ap us paid course ko kissi bhi online freelancing platform sy buy kr saktay hain lekin agar ap meri manain tou ap youtube sy he seekh lain youtube pr har tarhan ki video editing ki video hai, mai apko haqeeqat bataon tou mainay jo video editing seekhi hai wo mainay youtube sy he seekhi is liya mai apko youtube ka he keh raha hoon lekin agar ap chahain tou paid course sy b seekh saktay hain.
FREE VIDEO EDITING APPS :
Ab mai apko batata hoon k wo konsi aissi apps hain jin pr ap free mai video edit kr saktay hain, aisa nhi hai k sirf apps he hain jin pr ap free mai video edit kr saktay hain bulkay bohat ziada aissi websites b hoon gi jo free video editing provide krti hoon gi lekin baat wohi hai jis cheez k baray mai mujeh knowledge nhi uskay baray mai apko mai kesay bata sakta hoon mujeh video editing app k baray mai bohat ziada experience hai or mai unkay baray mai he apko bataon ga.
1 - PowerDirector
yahan pr no 1 pr jo video editor aata hai wo hai power director ya bohat he ziada behtarin video editor hai or editors choice mai b ye aata hai is mai apko bohat ziada fonts k designs , stickers , voice mixing k sath sath bohat ziada editing ki options mil jain gi, iska paid version b available hai ap chahain tou usko buy kr saktay hain lekin agar ap iskay paid version ko nhi buy karna chahtay tou ap iskay free version ko b use kr saktay hain lekin usmay ap jab video ko export karain gay tou apko video mai eik watermark b aie ga or wo power director k naam sy ho ga is liye agar ap usko remove krna chahtay hain tou apko iska paid version buy karna parayga.
2 - iMovie
Ye jo video editor hai ye basically beginners k liye he hai or ye bohat ziada user friendly hai is liye apko ye video editor b try krna chahiye, iskay ander apko bohat ziada different kisam k features wagera dekhnay milain gay, choice apki hai ap chahain tou isko use kr saktay hain.
3 - Splice
Doston ye jonsa video editor hai ye basically designed hai cropping or trimming k liye is liye apko iskay ander trimming ki or cropping ki bohat he ziad options dekhnay ko milain gi is liye agar ap video ko bohat ziada trim or crop karna chahtay hain tou ap isko use kr saktay hain, aisa nhi hai k ap is may sirf cropping or trimming kr saktay hain is mai apko bohat ziada or b features dekhnay ko milain gay.
4 - KineMaster
Friends ab jis video editor ki mai baat karnay ja raha hoon wo ziada tar mobile apps mai jo video editor aatay hain un mai bohat ziada istemal honay wala video editor hai or bohat ziada youtubers ki no 1 choice hai yahan tak k agar mainay khud b koi video edit krni hoti hai tou mai isko he use karta hoon. ye video editor apko basic features k sath free version mai mil jata lekin agar ap iskay advance level version ko use karna chahtay hain tou apko iskay paid version ko purchase kr saktay is may apko bohat he ziada video editing k features miltay hain. is liye mai apko yehi video editor reffer karon ga kuon k iski video editing k baray mai kafi ziada videos youtube pr b available hain jinko ap ja kr youtube pr dekh kr is may video edit krna seekh saktay hain.
Ye kuch basic video editors thay jinkay baray mai mainay apko bata diye apko play store mai bohat ziada free video editor mil jain gay ap unki rating wagera check kr k unko use kr saktay hain ye kuch popular video editors thay jinkay baray mai mainay apko bata diya. ab kuch main question ki baat kr laitay hain jo mind mai aa jaatay hain.
Comments
Post a Comment