Youtube Shorts Kia Cheez Hai Or Ap Is say kis tarhan sy earning kr saktay hain
YouTube sy kon nhi paisa kamana chahta aj kal har koi he youtube sy earning karna chahta hai tou doston aj k is article mai apko mai bataon ga k ap kis tarhan sy youtube sy earning kr saktay hain. tou is article ko full read zaroor karain.
Tou friends sab sy pehlay baat kr letay hain k youtube pr ads laganay k liye apka channel kitna bhara hona chahiye or kitnay subscribers or watch time hona chahiye, tou youtube kehta hai k agar ap inkay patner program ko use karna chahtay hain tou kum as kum apkay channel pr 1000 subscribers or 4000 ghantay ka watch time hona chahiye, ab yahan pr bahat ziada log pareshan ho jaatay hain 4000 ghantay k watch time k baray mai sun k tou mai unko batana chahon ga k 4000 ghantay ka watch time poura karna koi itna mushkil kaam nhi hai agar apki eik b video viral ho jae tou bohat he aasani sy apka watch time poura ho jaata hai is liye is cheez ki apnay tenshion nhi leni apnay tenshion leni hai k hum apni video ko viral kesay karain, tou ab mai apko kuch tips k baray mai batanay ja raha hoon jinko use kr k ap apni video ko viral kr saktay or in cheezon ko apply karnay sy bohat ziada chances increase ho jaatay hain k apki video viral ho jae.
CONTENT :
Friends video ko viral karnay mai sab sy ziada jo mai cheez aati hai wo hai content apkay content mai kuch aisa hona chahiye jisko log dekhnay mai intrest rakhtay hoon. apko kissi bohat he ziada unique topic pr video banani ho gi, ap search kr saktay hain is kay baray mai kissi aisey topic ko dhoondain jo trending mai ho, bs is cheez ko zehn mai rakhain k ap apnay channel pr kahin sy utha kr koi movies nhi upload kr saktay is tarhan karnay sy apkay channel pr copyright ka issue aa sakta hai jo channel k liye acha nhi hota or apnay kissi or k channel sy koi video utha kr apnay channel pr b upload nhi karni is say b apko takreeban koi faida nhi ho jis video ko log pehlay he dekh chukay hain wo us video ko dubara kuon dekhain gay, is liye is cheez ko zehn mai rakhain k ap jo bhi video banain wo apki khud ki ho or uska topic b unique ho.
SEO (Search Engine Optimization)
Ab content bananay k baad baat aati hai seo ki jo video ko rank karnay mai bohat ziada help karta hai is liye agar ap chahtay hain k apki video viral ho tou apko apni video ki seo krnay ki bohat ziada zaroorat hai is liye is baat ko zehan mai rakhain k seo lazmi agar apko khud ko seo nhi karna aata tou ap kissi freelancer ko b seo karnay k liye hire kr saktay hain. lekin doston mainay kuch is tarhan ki b viral video dekhi hain jin ka tou title b sahi tarhan sy nhi likha huwa hota, ye sab kuch apkay content pr he depend krta hai agar content acha ho tou seo k bagair b video viral ho jati hai lekin agar ap kissi aisey topic pr video bana rahay hain hain jis topic pr pehlay sy he kafi ziada videos hain tou phir seo ki apko bohat zaroorat paray gi takay apki video YouTube search mai aa jae.
THUMBNAIL:
Friends ab jis cheez ki mai baat karnay ja raha hoon wo bohat he ziada help karta hai apki video ko viral karnay ki ab bohat sy log aisey hoon gay jo soch rahay hoon gay k thumbnail kea hota hai haqeeqat mai apki video ki jo picture hoti hai usko he thumbnail kehtay hain or agar ap chahtay hain kay apki video viral ho tou phir apko apnay thumbnail ko bohat ziada attractive bananay ki zaroorat hai. ap koi b photo editing software use kr saktay hain jin k upper ap apnay thumbnail ko bana saktay hain.
Tou Doston yehi kuch basic cheezain thin jinko use kartay huway ap apni video ko viral kr saktay hain mai umeed karta hoon k apko is article sy kuch na kuch knowledge zaroor mil gai ho gi agar apko ye article acha laga ho tou isko apnay friends wagera or family members k sath lazmi share karain.
Comments
Post a Comment